Polaroid


Sad Shayari

Sad Shayari

PAGE=1

Badle Badle Se
By : Gagan (Views : 858)

Badle badle se wo hai
badle badle se hai hum
kismat mei ho jiske udasi
kya bataye wo jindgi ke gum
kisi ka dosh hai kahan
jakhm hum khud hi khate hai
khade hai aaj uss mukam pe hum
jaha jane wale kabhi lout ke na aate hain

 

Khud Ko Jalaana
By :Gagan(Views : 673)

Dard se hath na milate to or kya karte
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte
Usne maangi thi humse roshni ki dua
Hum khud ko na jalate to or kya karte

 

Apne Hothon Par
By :Gagan(Views : 558)

Apne honthon par sajaa kar tujhe
ham tere hi geet gaana chahte hain
jal kar bujh jaana hamari kismat sahi
bas ek baar roshan hona chahte hain

 

Tamanna
By : Gagan(Views : 471)

Dil ki Halat ki taraf kiski nazar jati hai
pyar ki umar tamannao mein gujar jati hai
main ro padta hun jab yaad tumahri aati hai
jamana hasta hai jab mohhabat ruth jati hai

 

Mila Nahi Hume Khuda
By : Gagan (Views : 412)

Kab the hum bejaan jo aaj jeene lage
Kab the hum hosh me jo aaj behoshi me peene lage
Kab thi woh hamari jo aaj hamse juda hai
Kab na tha hum me anurag jo mila nahi hume khuda hai

Pyaar Khota Hi Jaye
By : Gagan (Views : 273)

Nasha unki aanko ka jaise mehendi
jo chadhta hi jaye
Hum dono me doori jaise doori akas aur bhumi ki jo badhta hi jaye
Garmi unki saaso ki jaise subha ka Gagan
jo kathor hota hi jaye
Pyaar hamare beech jaise hawaa me khusbu
jo kahin khota hi jaye

 

Juda Ho Gaya Hamraah
By : Gagan (Views : 250)

Woh nahi hai saath hamare par aaj bhi hai unka nasha
Na bache sur, na bache shabd par aaj bhi hai ek nagma
Aaj bhi hai raahen, aaj bhi ek manzil, Juda ho gaya hamraah
Na bacha jism na bacha jigar, par aaj bhi hai ek aah

 

Dil-e-Nadan
By : Gagan...... (Views : 217)

Aj phir apne haal par nigha dali maine
jo beeti is dil-e-nadan per guzri woh baat keh dali maine
Sunti rahi zamane ki hazaron baatein
ek tere pyar mein har baat bhula dali maine
Teri zaat se pewasta huyi kuch is tarha
apni hasti bhi mita dali maine
Is kadar yaad kiya sham o sehar tum ko
apni yaad tak mita dali maine
Adhura sa wo sapna matlashi-e-haqiqat hai
Tu hi bata aye Afza kyun takmel na payi isne?

 

Dil Ke Tootne Se
By : Gagan (Views : 737)

Dil ke tootne se nahi hoti hai aawaz
Aansoo ke behne ka nahi hota hai andaz
Gum ka kabhi bhi ho sakta hai aagaz
Aur dard ke hone ka to bas hota hai ehsaas

 

Jaan Se Bhi Zyada
By : Gagan(Views : 634)

Jaan se bhi zyada
unhe pyar kiya karte the
Yaad hum unhe
din-raat kiya karte the
Ab un raho se
guzra nahi jata
Jahan baithkar
unka intezar kiya karte the

Apani Kasam Dekar Usne
By : Gagan(Views : 671)

Us se Pyar Hua Jise Hum kabhi Pa Na Sake
Jiski Baato Ko Hum Kabhi Bhula Na Sake
Dil Lagaya Aur Lagakar Tod Diya Usne
Jise Bhulana Chaha Par Hum Bhula Na Sake
Apani Kasam Dekar Usne Hume Majboor Kar Diya
Mujhe Khush Rakhne Ke Liye Khud Se Dur Kar Diya
Humari Chahat Ko Kabhi Usne Samjha Hi Nahi
Aur Hum The Ki Unke Liye Apno Ko Hi Chhod Diya

 

Yu Hi Mile The Wo
By : Gagan(Views : 589)

Yu Hi Mile The Wo Hume Anjaan Bankar
Dil Mein Mere Bas Gaye Pehchan Bankar
Jaana Nahi Tha Fir Bhi Wo Dur Chali Gayi
Aaj Mili Bhi To Kisi Ke Naam Ka Sindur Bankar

 

Khayal Jab Unhe
By : Gagan (Views : 586)

Khayal jab unhe gore ka aya hoga
gore ki yaado ne unhe bahut staya hoga
Bhul na paya jinhe gora aaj tak
Na jane kaise unhone gore ko bhulaya hoga

 

Soona Daaman Tera
By : Gagan (Views : 323)

Yeh aashuftah palak tere
dilme de jata hai ek khalish
Un palako ke uthne par
deedaar hoti hai tera kashish
Humse yoon nazre firra lena
yaad dilate hai tera naazish
Yeh soona daaman tera
yaad dilata hai woh ranjish

 

Yeh Mere Dard Ki Kahani Hai
By : Gagan(Views : 403)

yeh ghazal hai na geet hai koi
yeh mere dard ki kahani hai
mere seene me sirf shole hai
meri aankho me sirf pani hai

Agli Baar Bhool Jayenge
By : Gagan (Views : 319)

Socha tha is kadar unko bhool jayenge
Unko dekh kar bhi andekha kar jayenge
Par jab chehra samne aaya unka
to socha isbar dekh le agli baar bhool jayenge

 

Yaad To Har Koi Karega
By : Gagan (Views : 1775)

Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aa jayega mar jaane ke baad

 

Zakhm Dene Ka Andaaz
By : Gagan (Views : 3544)

zakhm dene ka aandaz kuch aisa hai
zakhm dekar puchte hai ab haal kaisa hai
Zeher dekar kehte hai peena hi hoga
jab pi gaye zeher to kehte hai ab jeena hi hoga

 

Tanhai Kyun Hai
By : Gagan (Views : 997)

Is do pal ki zindagi mein tanhai kyu hai?
Logon ko humse ruswai kyu hai?
Is duniya mein insaan kam to nahin
Phir mere saath sirf meri parchai kyu hai?

 

Tu Kar De Ishara
By : Gagan (Views : 751)

Tu kar de ek ishara mera pata bata de
kahne ko to jindgi hume bhi mili hai
par tu jine ki ek wajah bata de
tere dil me ab bhi mera aashiyana basta hai
labjo se n sahi aankhon se hi jata de
Tu kar de ek ishara mera pata bata de

Dil Na Lagana Kisi Se
By : Gagan (Views : 819)

Dil na lagana kisi se
dard hi paoge
biti baato ko yaad karke
rote hi nazar aaoge
karni hai to sirf DOSTI karo
Hamesha ummid se Dugna paoge

 

Bas Ye Hi Gila Hai Zindagi Se
By : Gagan(Views : 1218)

Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se

 

Zindagi Kya Koi
By : Gagan(Views : 1070)

zindagi kya koi nisaar kare
kisse duniya me koi pyaar kare
apna saaya bhi apna dushman hai
kaun ab kiska aitbaar kare

 

Unki Har Bhool
By : Gagan (Views : 1265)

Unki har bhool ko apnaya humne
Kehte hain ab saza do mujhe
Saza se pehle apni galti maan jaana
Unki ye ada bhi kya Khoob lagti hai

 

Dulhan
By : Gagan (Views : 500)

Subah ki thandhak, subah ki kushbu
unke khayalaat diye ja rahi hai
Guzarta hua lamha hamari zindagi se
sab arzoo saat liye ja rahi hai
kamre ka soona pann, Raat ki kamoshi
koi jazbaat diye ja rahi hai
Maut ki dulhan ko gale lagane
ab zindagi baraat liye ja rahi hai


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter